kabhi shola hai ye dil mera , kabhi patton pe fisalti shabnam sa ,
kabhi pal mein rang badalta hua , kabhi thehre hue kisi mausam sa....
kabhi bechain ke jaise tanhai , kabhi maddham maddham purvai ,
kabhi sukoon jahaaan ki rangat ka , kahin jakham choomte marham sa,
kabhi apne toofanon se ladta hua , haalat ke bhanwar se nikalta hua ,
kabhi khud ke dard se ghira hua , kahin auron ki khatir purnam sa,
thanks
Pranav Abhyankar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment