Monday, February 23, 2009

आंसू

जलती हुई पलकों से छलके हुए ,
अंगारे लगते हैं तेरे आंसू...
मेरे सिमटे हुए फलक से टूटे ,
सितारे लगते हैं तेरे आंसू...

मैं हर शब् यूँ भी तेरे ,
ख्वाबों में डूबा जाता हूँ ...
अंधे उस समुन्दर के ,
किनारे लगते हैं तेरे आंसू ...

Tuesday, February 3, 2009

मितवा ... माय वेर्सिओं माय विज़न ...

Hi , dear ones play mitwa (KANK) n humm this lyrics
Aur mujhe gaaliyaan do
Javed akhtar ke milestone timeless lyrics hai …………. Hahahaha gustakhi maaf bench par hun na doston
********************************************************************************
********************************************************************************

Badi benoor thi zindagi ,
Aur gum thi kahin roshni ,
Har mausam tha behka hua ,
Har tasveer thi dhundhli ,

Jo tum mil gaye ,
Kuch gul khil gaye ,
Ab ujla lage ye jahaan …..
Jogiyaa…………
Tere sadke mera sajdaa,
Jogiyaa…………
Ye zinddi hai teri dua…..

è dil jal raha tha , kuch khal raha tha ,
Tum ban ke shabnam dardon pe barse…

Bujhte angaare , jalte sharare ,
Kitne hi mausam tanha yun tarse ……

Tanha the kabse …2)
Is shart par ke , ik din idhar se ,
Koi ghata , humko bhi , mehka ke jaaye …
Jo tum aa gaye , yun dhadka gaye ,
Khud apna na lage ye jiyaa….
Jogiyaa……………..
Kitni “komal” hai teri sadaa
Jogiyaa……………..
Hai haseen kitni tanhaiyaan….

è uljhe khayalon mein , chubhte sawalon mein ,
tum har safar saaath chalne lage ho ,
har mulakaton mein , baton hi baton mein ,
meri nigahon mein sanwarne lage ho ,

jaise saba ho , jaise dua ho ,
pal mein dhuan ho pal mein fanaa ho ……

subah ke aagosh mein taare kho jayein ,
jo tum ho yahaan , har dhundhla samaa ,
ab lagta hai mujhe aashnaa…………

jogiyaa………………..
tere dum se ye jism-o-jaan ,
jogiyaa………………..
jo tu na ho main hun kahaan…..

भौंक रही है दुनिया देखो ... (पॉलिटिकल न सोशल व्यंग्य )

Bhaunk rahi hai duniya dekho …

Bhaunk rahi hai duniya dekho ,
Kutte ghoomein berozgaar …
Kahin chillate hain ishtihaar ,
Kahin daily soap ke kirdaar …

kahin nuclear deal ki dhoom mach rahi ,
Kahin page 3 ki partyaan saj rahi ,

Kahi party fund mein karodon baant rahe ,
Koi veerappan ke naam chandan kaat rahe …

Polish se chamka rahe mulk ko dekho ,
Dab gayee baadh peediton ki cheekh pukaar ….

Kahin chillate ……………….


Sansani banti ja rahi katl ki khabar ,
News channel dehla rahe shaam – o – sehar …

Jyotishi shani ke saath mangal bhida rahe ,
Kuch aur nahi to channel TRP badha rahe …

Maut bekhauf ghoom rahi sadkon par ,
Zindagi kahin nashe mein giraftaar ………..


Muskurahat se management sabke guru hain yahaan ,
Jo imaan ko jagaa de unka nahin naam – o – nishaan …

Performance ki baatein joron se ho rahi ,
Reality shows se sachchai dhire dhire kho rahi …

Khabron ke kandhe par jaane kiski bandook rakhi ,
Jaane kaun boli vol rahe hain ye akhbaar ………….

Kahin chillate ………….


Maata ke naare ke saath rock jud gayaa ,
Jaane kis raah apna sangeet mud gayaa …

Ghazalon qawwaliyon ki shaamein kahaan dhal gayee ,
Sadiyon ki sanskriti kis jhonke mein fisal gayee…

DJ ki taal par duniya thirak rahi ,
Gum hui kahaan katthak ki raftaar …

Technology mein sabhyata samaa gayee ,
Khoya kahaan shastriya sangeet ka vistaar …

Khan sahab ki bebas hui shehnai ,
Soona pada panditji ka sitar ………

Wo besudh kari rafi ki sadayein ,
Salil da ki bansuri , pancham da ki pukar ….

….. Ke bhaunk rahi hai duniya saari ,
Kutte ab tak berozgaar ……….
Dhritrashtra ki aankhein roshni ko talashti ,
Gandhari apni kasam par ab bhi lachaar ………….

मैं तस्वीर ऐ हिंदुस्तान हूँ

हिंदुस्तान की एक तस्वीर पेश ऐ खिदमत है ... जिसे " आम जुबां " में आम आदमी कहा जाता है ...

Main tasveer – e – Hindustan hun …


Meri surkhiyaan akhbaron mein nahi aati ,
Naa hi mera ghar breaking news ka zariya hai…

Mere kisse magzines ki sale nahi badhate ,
Na mere dard ko kahin char lines naseeb hoti hain …

Mere bujurgon ne koi medal nahi jeeta ,
Na hamare darwaze par koi laal batti ki gaadi hai…

Sansad ko sirf shaam ki news mein dekha hai ,
Yun bhi gali se kabhi koi gandhi topi ya nehru jacket nahi gujra …

Shuru se pitaji ko 9 to 6 duty karte dekha hai ,
Kuch usi nakshe kadam par mein aaj chal raha hun…

Is shehar ka naam kisi reality show mein nahi aaya ,
Naa hi apna koi banda filmi posters mein dikhta hai…

Mashhoor gali mein sirf wo hafta wasooli gunda hai ,
Tanha sharaab peeta hai shayad bahut sharminda hai…

Chaurahon par yun kuch khaas hulchul nahi hoti ,
Ye raaste yun hi gaddhon ko paalte aa rahe hain …

Shehar ko choomti hui nadi barsaat mein naraaz hoti hai ,
Log tayyari mein hain ke ab monsoon chaukhat par hai …

Paas ke gaon mein chaar kisaanon ne khudkhushi kar li ,
Shaam tak unke khandanon ki bhi kahbar aati hogi …

Subah gali ke nukkad par paani ko jhagde hote hain ,
Log chalke hue paseene ki chaadar odh kar sote hain …

Aap bhi sochte honge ki mei bisaat kya hain ,
Cyber age mein itna low profile meri aukaat kya hai…

Sach kahoon to hum aukaat ke bare mein sochte hi nahi ,
Tootti deewar se lekar bijli ka bil fursat nahi deta …

Maa ki beemari babuji ki dawa dum kheeche jaate hain ,
Petrol ke bhaav bujhta allav nasein bheeche jaate hain … (Note : Alaav : angeethi , chulha)

Nazdeek aata budget dhadkan badhaaye jaata hai ,
Yun bhi sarkar badalne se kisko farq padta hai …

Maathe se girta paseena hi shayad wafadar hota hai ,
Ke kitni hi peshaniyaan hon yahi mere saath hota hai …

Mujhe shiqayat ka waqt nahi hota zamaane se ,
Ke dafn ki zameen bhi nahi milti apne khazane se …

Shayad aur meri tareef ki zaroorat hi na hogi ,
Ya yun kahein ab bayaan ki himmat hi na hogi …

Aap ab tak Samajh gaye hoge ke main kaun hun ,
Sadiyon se chillaya magar aajkal maun hun …

Ek maa ki duniya budhe baap ka armaan hun ,
Rozana kai jung ladta nateeze se anzaan hun …

Naarazgi ka samundar shiqayaton ka farmaan hun ,
Birth certificate fir bhi kehta main insaan hun …

Khud ki taqdeer nahi badal sakaa aaj tak ,
Apni shakal sanwaar nahi sakaa aaj tak…
Magar log kehte hain main tasveer – e – hindustaan hun ………….

उम्मीद...

"ये कविता मेरे पोएट्री एल्बम : वर्चुअल इमोशंस के एक पहलु होप पर आधारित है ...

Hope

Fir sooraj ka rang nikhar raha hai ,
Fir badli se chaand nikal raha hai…

Fir saawan ke jhoole pade hain,
Fir aaj kadam thirakne lage hain …

Main dekhta hun un raahon ko ,
Jinke kadam behak se gaye the..
Aaj fir unme ek nayi rawaani hai …

Main dekhta hun un aankhon ko ,
Jo dariya ka sookh se gaye the …
Fir aaj unke daaman mein paani hai….


è honthon ka tirchapan jo bujhne lagaa tha ,
wo aaj fir se jhilmilane lagaa hai …
galiyon mein chehakta bachpan jo gum ho gayaa tha,
nayi subah ke saath fir khilkhilane lagaa hai …

main dekhta hun un hathon ko ,
badalte daur mein jo kaanpne lage the ,
fir aaj unme ek nayi jawaani hai…

fir aaj nazar aate hain wo naaz ,
jinpar guroor the humko kabhi ,
ke har baalak mohan har meera sayaani hai….


è Main sarhad paar se aati khushbu dekhta hun ,
Yahaan ki fizaon mein yun ghuli jaati hain …
Jaise inse w kabhi juda hi na thi ……

Pairon ko mere choomta hai nadiyon ka paani ,
Yun belagaam hokar aaj rahon se nikla hai ,
Jaise kabhi kaali iski koi daastaan hi na thi …

Meri nazar mein ghule jaate hain wo bejaan iraade ,
Jinme jng lag gayee thi waqt ki seelan se ,
Aaj fir un fauladon mein pyaas anjaani hai….

Fir dekh un jawanon ko ek aas bandh jaati hai,
Jinki jawaniyon ko bazaron ne khokhla kar diyaa tha,
Fir aaj unki zindagi shahadat ki deewani hain …

Main dekh sakta hun fir bujurgon ki aankhon mein ,
Jo bun rahi apne bachchon ke liye ek nayi kahani hain …

Unke chehre ki jhurriyaan fir muskurati hain ,
Unke palkon ki kor fir se pukaarti hain ,
Fir se unki daastaan mein ek raja hai …
Fir us raja ke liye kahin ek raani hai…………………