Tuesday, February 3, 2009

उम्मीद...

"ये कविता मेरे पोएट्री एल्बम : वर्चुअल इमोशंस के एक पहलु होप पर आधारित है ...

Hope

Fir sooraj ka rang nikhar raha hai ,
Fir badli se chaand nikal raha hai…

Fir saawan ke jhoole pade hain,
Fir aaj kadam thirakne lage hain …

Main dekhta hun un raahon ko ,
Jinke kadam behak se gaye the..
Aaj fir unme ek nayi rawaani hai …

Main dekhta hun un aankhon ko ,
Jo dariya ka sookh se gaye the …
Fir aaj unke daaman mein paani hai….


è honthon ka tirchapan jo bujhne lagaa tha ,
wo aaj fir se jhilmilane lagaa hai …
galiyon mein chehakta bachpan jo gum ho gayaa tha,
nayi subah ke saath fir khilkhilane lagaa hai …

main dekhta hun un hathon ko ,
badalte daur mein jo kaanpne lage the ,
fir aaj unme ek nayi jawaani hai…

fir aaj nazar aate hain wo naaz ,
jinpar guroor the humko kabhi ,
ke har baalak mohan har meera sayaani hai….


è Main sarhad paar se aati khushbu dekhta hun ,
Yahaan ki fizaon mein yun ghuli jaati hain …
Jaise inse w kabhi juda hi na thi ……

Pairon ko mere choomta hai nadiyon ka paani ,
Yun belagaam hokar aaj rahon se nikla hai ,
Jaise kabhi kaali iski koi daastaan hi na thi …

Meri nazar mein ghule jaate hain wo bejaan iraade ,
Jinme jng lag gayee thi waqt ki seelan se ,
Aaj fir un fauladon mein pyaas anjaani hai….

Fir dekh un jawanon ko ek aas bandh jaati hai,
Jinki jawaniyon ko bazaron ne khokhla kar diyaa tha,
Fir aaj unki zindagi shahadat ki deewani hain …

Main dekh sakta hun fir bujurgon ki aankhon mein ,
Jo bun rahi apne bachchon ke liye ek nayi kahani hain …

Unke chehre ki jhurriyaan fir muskurati hain ,
Unke palkon ki kor fir se pukaarti hain ,
Fir se unki daastaan mein ek raja hai …
Fir us raja ke liye kahin ek raani hai…………………

No comments: