हिंदुस्तान की एक तस्वीर पेश ऐ खिदमत है ... जिसे " आम जुबां " में आम आदमी कहा जाता है ...
Main tasveer – e – Hindustan hun …
Meri surkhiyaan akhbaron mein nahi aati ,
Naa hi mera ghar breaking news ka zariya hai…
Mere kisse magzines ki sale nahi badhate ,
Na mere dard ko kahin char lines naseeb hoti hain …
Mere bujurgon ne koi medal nahi jeeta ,
Na hamare darwaze par koi laal batti ki gaadi hai…
Sansad ko sirf shaam ki news mein dekha hai ,
Yun bhi gali se kabhi koi gandhi topi ya nehru jacket nahi gujra …
Shuru se pitaji ko 9 to 6 duty karte dekha hai ,
Kuch usi nakshe kadam par mein aaj chal raha hun…
Is shehar ka naam kisi reality show mein nahi aaya ,
Naa hi apna koi banda filmi posters mein dikhta hai…
Mashhoor gali mein sirf wo hafta wasooli gunda hai ,
Tanha sharaab peeta hai shayad bahut sharminda hai…
Chaurahon par yun kuch khaas hulchul nahi hoti ,
Ye raaste yun hi gaddhon ko paalte aa rahe hain …
Shehar ko choomti hui nadi barsaat mein naraaz hoti hai ,
Log tayyari mein hain ke ab monsoon chaukhat par hai …
Paas ke gaon mein chaar kisaanon ne khudkhushi kar li ,
Shaam tak unke khandanon ki bhi kahbar aati hogi …
Subah gali ke nukkad par paani ko jhagde hote hain ,
Log chalke hue paseene ki chaadar odh kar sote hain …
Aap bhi sochte honge ki mei bisaat kya hain ,
Cyber age mein itna low profile meri aukaat kya hai…
Sach kahoon to hum aukaat ke bare mein sochte hi nahi ,
Tootti deewar se lekar bijli ka bil fursat nahi deta …
Maa ki beemari babuji ki dawa dum kheeche jaate hain ,
Petrol ke bhaav bujhta allav nasein bheeche jaate hain … (Note : Alaav : angeethi , chulha)
Nazdeek aata budget dhadkan badhaaye jaata hai ,
Yun bhi sarkar badalne se kisko farq padta hai …
Maathe se girta paseena hi shayad wafadar hota hai ,
Ke kitni hi peshaniyaan hon yahi mere saath hota hai …
Mujhe shiqayat ka waqt nahi hota zamaane se ,
Ke dafn ki zameen bhi nahi milti apne khazane se …
Shayad aur meri tareef ki zaroorat hi na hogi ,
Ya yun kahein ab bayaan ki himmat hi na hogi …
Aap ab tak Samajh gaye hoge ke main kaun hun ,
Sadiyon se chillaya magar aajkal maun hun …
Ek maa ki duniya budhe baap ka armaan hun ,
Rozana kai jung ladta nateeze se anzaan hun …
Naarazgi ka samundar shiqayaton ka farmaan hun ,
Birth certificate fir bhi kehta main insaan hun …
Khud ki taqdeer nahi badal sakaa aaj tak ,
Apni shakal sanwaar nahi sakaa aaj tak…
Magar log kehte hain main tasveer – e – hindustaan hun ………….
Tuesday, February 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment