Tuesday, September 8, 2009

फिर क्यू ना हम नाक़ाम रहे ...

इतनी पिलाना साकी मुझको याद सुबह ना शाम रहे
ज़ुबान लड्खडाये कितनी मगर लबो पे उसका नाम रहे
हक़ मे मेरे चाहे ना हो रियासते या जन्नते
इतना कर दे दिल पे मेरे उनका हि निज़ाम रहे …
कितने हि डगमगाये कदम कितनी ही बह्के ये आंखै
मय के हर कतरे से फिर भी ज़िन्दा ये गुलफाम रहे
पिघल जाऊ बस कतरा कतरा घुल कर मय की बून्दो मे
जीना तो मुश्किल है लेकिन मरना कुछ आसान रहे
क्या मांगू मै दौलत शोहरत मुमकिन हो तो कर दे यू
कब्र तलक भी जाते जाते हाथ मे जश्न का जाम रहे : )
हारे दिल को अपने लेकिन सब कुछ जीत लिया हमने
दुनिया की नज़रो मे फिर क्यू ना हम नाक़ाम रहे ...
फिर क्यू ना हम नाक़ाम रहे ...
फिर क्यू ना हम …

खलिश

ज़माने भर के ग़मो की दवा है ज़माने मै मगर
फक़त इस दर्द- ए- दिल का इलाज नही है

मुम्किन है कल जहानो की खुशिया हो दामन मे
ये खलिश रहेगी के वो मेरे पास आज नही है

उनकी फितरत होगी अमानते लेकर भूल जाने की
अपने साये से कट जाये हम ऐसा भी मिजाज़ नही है

हमने धडकनो की वसीयते उनके नाम कर रखी है
बेदखल करे वो लकीरो से हमको कोई ऐतराज़ नही है

dafn hua jaata hun main ...

ankhon ke aalon mein chhale pade jaate hain magar
phir bhi tere khwabon ko snajota jaata hun main

dil ki deewaron ke jakham naasoor ho rahe hain magar
khud se jaane kaisi ye jung ladtaa jaata hun main

tu wo safar hai mera jiski koi manzil bhi nahi
har raah lekin gir gir kar sambhalta jaata hun main

tu wo junoon hai mera jo mujhmein gaafil bhi nahi
laakh samhaloon har kadam behaktaa jaata hun main

hazaar koshishein ki ke afsaana dobaara likh sakoon
jo gujar rahi hai wo nazm bhi uljhaata jaata hun main

teri sadaon ki baarishon mein jiye jaane ki khatir
jehan ki khaamoshiyon mein hi dafn hua jaata hun main ...
dafn huaa ...
dafn...

aarzoo

kal khwab mein khuda se guftagoon hui ,
jaise taseer adhoori koi aarzoo hui ...
usne kahaa kuch bhi maang ae bande mere ,
chaahe jo manzilein sab raaste honge tere ,
maine apni naakamiyon naaraziyon ki fehrist banayi ,
doobi tamannaon dhundhle charaghon ki yaad karayi ,
kuch sawaal kiye beete hue maazi se ,
apne gham se kuch apni naaraazi se ,
kuch tatola apne gile shiqwon ko ,
sisakte dard ko chubhate malalon ko ,
gujari hui tanhaiyon ko chookar dekha ,
goonjati hui khamoshiyon ko sunkar dekha ,
har shikwe se har shubahe se ,
har lamhe se har safhe se ,
palatkar yahi sadayein aayi ,
har sajde se har roze se ,
har azaan se sannate se ,
mukammal yahi duaayein aayi ,
ke kabhi kisi roz aisa bhi ho ,
ke gujroon ban ke khayalon ka jhonka tere jehan se ,
mehkaa jaoon teri saanson ko apni saanson ki agan se ,
muskuraoon zara teri in udaasiyon ko ,
sehlaoon tere maathe ki peshaniyon ko ,
dabe hue tere shiqwon se pooch sakoon ,
hai sabab kya teri khamoshiyon ka ,
rishton mein badhti hui in dooriyon ka ,
kaash ke haathon mein mere jaadoo ka chirag hota ,
ragadkar use waqt ko wapis wahin le jaa sakta ,
ke jab rishte rishton ko gudgudaya karte the ,
apne shiqwe shiqayaton ko behlaya karte the ,
ke shaayad kisi ne sach hi kaha hai ,
beshart duayein hi kubool hoti hain jahaan mein ,
humne apni khushiyon ki shart par
maang li muskuraahatein tumhari ,
ke aaj bhi kaanon mein humne ,
sambhal rakhi hain aahatein tumhari .....
pehan rakhi hain aahatein tumhari .....

jaane kyun naaraaz hai tu ...

jaane kyun naaraaz hai tu ...

meri aati jaati saanson ne ,
labon se uthati baaton ne ,
har jalte bujhte lamhon ne ,
zindagi ke har safhon ne ,
tumhari hi aarzoo ki hai ,
tumhari hi justazoo ki hai ,
fir bhi aaj na roz ki tarah ,
surmayee maddham aawaaz hai tu ...
jaane kyun ...............

kuch to baat khali hai tumko kahin ,
yun to nahi dhali hain ye aankhen teri ,
kaho na kaho tum shiqwe tumhare ,
kehti hain magar jhukti nigahein teri ,
mere sajdon mein azaanon mein ,
meri duaon mein meri kuraanon mein ,
har roz aabaad rahi hai tu ,
lekin kyun na har shab ki tarah ,
goonjta behka hua saaz hai tu ...
jaane kyun naaraaz hai tu ...

pareshaan karti hain ye khamoshiyaan teri ,
nabz thaame jaati hain ye ruswaaiyaan teri ,
main dard se bharne ki koshishein karta hun ,
aur sooni ho jaati hain tanhaaiyaan meri ,
hazaron sawaal khadi karti hain teri udaasi ,
har pal gehraata jaata koi raaz hai tu ,
badan ke gubbare mein jaise sannata hai bhara hua ,
jo gumshuda hui mujhse meri wo awaaz hai tu ,
kaaynaat muskurati thi saath tere kabhi ,
bina un raunakon ke kaise yun naasaaz hai tu ,
meri daastaan ka har lafz tujhse hi mukammal hai ,
meri kahaani ka anjaam tu aaghaaz hai tu ,
fir bhi jaane mujhse kyun naaraaz hai tu ...
fir bhi jaane mujhse kyun naaraaz hai tu ...
fir bhi jaane mujhse kyun naaraaz hai tu ...

Haadsaa…

Haadsaa… poetry dedicated for all the disabled and handicapped people of the world who are indirectly teaching this
World how to live life kingsize not just in slogans but also
Practically ……




ek shab saath mere kuch haadsaa hua ,
na socha tha maine kabhi waisaa hua ,

kaafi dard utha chubhte hue seene se ,
ek dafaa jee bhar aayaa yun jeene se,

chalta raha mein yun hi sadak par tanha ,
dhuan udaata kuch gham mein ghumshuda ,

kuch malaal kuch shikwe uthe khuda ke liye ,
angaare se beh rahe the us fizaa ke liye ,

ye bhi laga ek dafaa ek baar ke liye ,
main hi kyun chuna gaya is daastaan ke liye ,

tabhi andhere mein ek kirdaar nazar aaya ,
wajood se ladta hua giraftaar nazar aaya ,

uske har lamhe mein jaise jung thi zindagi se ,
jung ko jeet raha tha magar halki si hansi se ,

tha wo bhi kisi haadse ka shikaar hua kabhi ,
lagta nahi tha magar fir bhi haara hua kahin ,

badan ko mere jaise kuch sannaton ne gher liya ,
pal ko laga jaise sanson ne zindagi se munh fer liya ,

khud ko uski tasveer mein ek pal rakhkar dekha ,
us mukaam se apni zindagi ko palatkar dekha ,

wo ek pal beette hue laga jaise sadiyaan gujar gayee ,
mere saare ghamon kee tasveerein aankhon se utar gayee ,

rooh talak bheeg gayee jaise kisi paseene se ,
kitni khushnuma thi meri zindagi aise jeene se ,

khauff bhare dil ne ek lambi si aah bhari ,
pehli baar kisi pal usne naa koi chaah kari ,

ek shukrana saa adaa hua us khuda ke liye ,
jiske shikwe liye firta tha main hamesha ke liye ,

har us nemat ke liye jo mujhko adaa hui thi ,
har us khushi ke liye jo mujhpar fidaa hui thi ,

laga ke jaise kabhi dard ne mujhe chuaa bhi nahi ,
jakham kya hote hain main kabhi jaantaa hi nahi ,

main badh gaya usi sadak par yun hi tanha tanha ,
is baar magar dil tha kuch nayee ummedon se bhara ,

jo jindagi kuch der pehle veeraan lag rahi thi ,
wahi ab jaise kisi maasoom ki muskaan lag rahi thi ,

palkon ki kore par kuch shabnam chalak rahi thi ,
kuch kuch ruk kar jaise raat behek rahi thi ,

us waakye se ab bhi hoti aankhein purnam hain ,
shayad kisi ne bilkul sacha hi kahaa hai
duniya mein kitna gham hai ,
mera gham kitna kam hai ...........
mera gham kitna kam hai ...........
mera gham kitna kam hai ...........

!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

muqarrar khayaal … poetry written with considering it as a journey …

kabhi yun bhi hota hai ke kalam hoti hai jazbaat nahi hote ,
kabhi yun bhi hota hai jazbaat hote hain alfaaz nahi hote ...
kabhi teri shaklein bunta hun lafzon ke jaalon se ...
sunta hun sadayein teri gujre waqt ki deewaron se .....
ek jugnu jaise khayalon mein aakar chaunkaate ho kabhi ,
thehare hue paani sa jehan mein tham jaate ho kabhi ...
tere khwabon ko le main ghazal ka safar chuntaa hun ,
har agle alfaaz ke saath katra katra pighaltaa hun ...
kisi bhi makaam par magar manzil maqsood nahi hoti ,
gar us matle ya maqte mein tu maujood nahi hoti ...
tere naam par aakar kalam ruki jaati hai ,
lafz barf ho jaate hain nabz khamosh hui jaati hai ...
yun bhi ghazal ka anjaam isse behtar ho nahi sakta ...
shayad ye safar isse aur muqarrar ho nahi sakta ...
ke tere naam se shuru ho tere naam pe khatam ho ,
ek khayaal jo dum tode to duje ka janam ho ....

fitoor

yun bhi dimaag ko kaise kaise fitoor hote hain ...
main canvas par zindagi ki ek tasveer banata hun ,
anginat ehsaason ke rang hain jisme ,
kuch pighalte lamhon ki parchaiyaan bhi hain ...
dhoop mein jhulse hue jazbaat hain jisme ,
kahin shor se ladti tanhaaiyaan bhi hain ...
toofano se ladta hua maaji hai mera ,
kahin dhalti shaamon ki thakaan bhi hai ,
jhoomti hui baharein bhi hain kahin ,
kahin dum ghutaane waali tahaan bhi hai ...
makhmali muhabbat ke dhaage hain yahaan ,
lahoo jalaata nafraton ka rang bhi hai ...
ye sab rang mere apne hain ,
haqiqat hain ye na koi sapne hain ...
ye tasveer ab mukammal hone ko hai ,
iske aks mujhme hi chipe hue hain kahin ...
ab tak main sochta tha
is painting ko main taaseer de raha hun ,
magar ye zindagi khud hai jo mere haathon
khud ko takhleeq diye jaati hai ...
yun bhi dimaag ko kaise kaise fitoor aur mugaalte hote hain ..
hain na ...

Duaaein :-

mere khwabon ko armaanon ko thodi shiddat de maula ,[shiddat : conviction , determination]
khud se khud ko jeet sakoon itni himmat de maula ...

apne gham se apne dard se jaane kyun ghutta main jaa raha ,
jakham paraye baant sakoon itni chaahat de maula ...

jaane kis andhi daud mein insaan bhaagta jaa raha ,
mrigtrishna banti pyaas ko thodi raahat de maula .........

aansoo shikwe bas dard aur aahein jeevan ka ye kya roop hua ,
dojakh hoti zindagaani ko thodi jannat de maula ......(dojakh – hell)

jiski kokh se janam liya use hi insaan aaj ujaad raha ,
lutti seeta draupadiyon ki aabroo ko fir asmat de maula .....(an appeal to stop killing girl child)(asmat- respect , izzat)

insaan sayana ho raha par buniyadon se apni choot raha ,
soch samajh waalon ko thodi bholi fitrat de maula ...

hansi khokhli ho rahi aankhon ka dariya sookh raha ,
patthar hote jazbaaton ko thodi rahmat de maula ...

badle waqt mein kaise humne tujhse faasle kar liye ,
khudgarz hote insaanon ko apni wahshat de maula ...

[Note: Mrigtrishna : means in summer ek hiran ko jab pyaas lagti hai tab wo door sadak par garmi ki wajah se dhundhle nazaron ko paani samajh kar bhagta rehta hai but it’s not actually water … that’s called mrig”Deer” trishna”thirst” thirst of a deer ]

kaun raah tu chala musafir ...

har mod par har safar mein tujhe do rahein milengi ,
kuch behkati kuch samjhati do nigahein milengi ...
tu soch samajh kar manzil chunna ,
jo tujhme ho wo raah-e-dil chunna ,
thehar ke soch ek baar zara fir ,
ke kaun raah tu chala musafir ...

1) ek raah mein honge kaante ek mein honge phool bhi ,
khushboo hogi kahin kahin nazarein dhundhalati dhool bhi ,
kaanton dhoolon se gujar kar bahaaron ko paayega tu ,
toofanon se ladkar dekh kinaaron tak jaayega tu ...
tu soch samajh kar saahil chunna ,
khud tak pahunche wo manzil chunna ,
thehar ke soch ek baar zara fir ,
ke kaunsi raah tu chala musafir ...

2) zamana kheechega kadam kabhi , fislega tera dil bhi kabhi ,
hosh kabhi ladkhadayenge tere , door lagegi manzil bhi kabhi ......
hosh sambhal rahein nikaal , manzilon ko paa jayega tu ,
chaand sooraj feeke lagenge , sitaron tak bhi jaayega tu ,
tu soch samajh kar raaste chunna ,
auron nahi khud ke waaste chunna ,
ruk kar soch ek baar zara fir ,
kaun raah tu chala musafir ...
raah banegi manzil aakhir ,
aaine se nazar ek bar mila fir ...
jis safar par badhkar , jis raah chalkar ,
tu hoga ek din khud se mutassir ...
ruk kar soch ek baar zara fir ….
ke kaun raah tu chala musafir ......

आओ फिर कोइ नज़्म कहे

आओ फिर कोइ नज़्म कहे
फ़िर किसी दर्द को सहलाके सुजा ले आंखे
फ़िर किसी दुखती हुई रग़ से छुपा ले नश्तर
फ़िर किसी भूली हुई राह पर मुडकर एक बार
फ़िर किसी हमनाम को आवाज़े दिया करे ...
è Gulzar

Extended :

फ़िर किसी टीस को ज़िन्दा किया जाये
फ़िर किसी ज़ख्म को हरा किया जाये
फ़िर ख्वाबो पर पडे पर्दो को हटाये ज़रा
फ़िर परिन्दो को आज़ाद किया जाये

फ़िर नाखून चबाते जज़्बात जने कोई
फ़िर जलाये ज़रा ज़रा लहू अपना
फ़िर किसी खयाल की बाहो मै दिन ढले
फ़िर ग़लाये कतरा कतरा शब ज़रा

फिर किसी आगाज़ का दामन थाम चले
फ़िर किसी अंजाम को थोडा सहै कोई
आओ फ़िर से एक नज़्म कहै कोई

==> प्रणव अभ्यंकर

कभी सोचा ना था

यू हमारे राज़दार बन जाओगे कभी सोचा ना था
इतने गहरे उतर जाओगे कभी सोचा ना था

एक दिल्लगी सी हुई थी मुलाक़ात हमारी
कितनी बातो मे थी वो सारी रात गुज़ारी
मुलाक़ातो के धागे सिलसिले बन जायेंगे
बातो बातो मे हर फासले ढल जायेंगे
आज तुम हमारे अक़्स नज़र आओगे सोचा ना था

हर दिन की तरह रिश्ता भी ढलेगा कभी
मेरा तुम्हारा चेहरा भी बद्लेगा कभी
गर हो सके तो इतना मुमक़िन करना
रिश्तो के हर पल को ज़रा ज़िन्दा रखना
फिर फक़त एक कसक़ सी रह जायेगी
रह रह कर यादो को झुलसायेगी
फिर चन्द अफसाने हमारे ढून्ढते रह जाओगे
एक हाथ नरमी भरा तरसते रह जाओगे
और ज़ेहन को कसमसाते रह जाओगे
यू भी पलके भिगओगे कभी सोचा ना था
बातो बातो मे याद आओगे कभी सोचा ना था
... तुम रग रग मे बस जाओगे कभी सोचा ना था
रंग- ए- लहू बदल जाओगे कभी सोचा ना था

सिसकिया ...

तुम आये थे निगाहो मै जला दू उस लम्हे को
पलको की किरचो मे फिर तेरा निशान ना रहे
गुज़रे हुए कल से तेरी हर तस्वीर मिटा दू
आने वाले कल मे तेरी कोई दास्तान ना रहे

तेरे खयाल गुज़रे है ज़ेहन की नब्ज़ो से होकर
तेरे ख्वाब रुके है पलको की आलो पे आकर
उन आलो का उन नब्ज़ो का हर वजूद मिटा दू
के सिसकती मेरी ज़मी धधकता आस्मान ना रहे

धुआ धुआ होता है जहान तेरा ज़िक्र आते ही
नशा नशा बहता है रगो मे तेरा नाम आते ही
ज़िक्र तेरा नाम तेरा हटा दू यादो की जेल से
क़ैद मेरे ज़ेहन मे फिर तेरा कोई निशान ना रहे

बरस जा मेरी जलती ज़मी पर बनके ज़रा शबनम
के दिल मेरा फिर यू पत्थर सा बेजान ना रहे
यू भी मदहोश हू मगर उसे कोई रास्ता दे दे
के मेरी बेखुदी भटकती रूह जैसे बदगुमान ना रहे

ज़िन्दगी ज़िन्दा सी लगने लगती है कभी कभी . . .

ख्वाब भी ज़िन्दा हो जाते है कभी कभी
अरमान शक्ले बुना करते है कभी कभी
उम्मीदे सच हो जाती है कभी कभी
तुम हमे मिला करते हो जब कभी कभी ...

चान्दनी ज़मी पर उतरा करती है कभी कभी
तुम जो मुस्कुराया करती हो कभी कभी
मौसम करवटे लिया करता है कभी कभी
तुम जो अंगडाइया लिया करती हो कभी कभी
हवाये भी रास्ता भटक जाती है कभी कभी
आंचल जब तुम्हारा लहराता है कभी कभी

लबो पे कुछ और आंखो मे जुदा फसाने होते है
कितनी सफाई से बहाने बनाती हो कभी कभी
लेकिन लफ्ज़ जब तुम्हारी ज़ुबान चूम कर आते है
हर झूठ सच्चा लगने लगता है कभी कभी
कुछ सदिया तन्हा बिताने के बाद यू भी होता है
चन्द लम्हे तुम साथ होते हो कभी कभी
पत्थर से बुत मे कुछ सांसे फूक जाती हो
ज़िन्दगी ज़िन्दा सी लगने लगती है कभी

Wednesday, March 25, 2009

दुआ ...

bhar de mere daaman mein ek aisi subah ,
ghamon ki ho fikr na khushiyon ki parwaah...
ae mere khuda ..ae mere khuda

jeene ki ho arzoo naa marne ki guzarish koi ,
dil bas dhadke jaaye naa kare farmaish koi
din yun dhale ke gulshan se gujre jaise sabaah,
shab yun muskuraye jaise kabool ho koi dua...

fir falak se ufak tak sooraj ka dekha karein ,
door wadiyon mein tumhara naam pukara karein ,
teri awaaz ke dariyaa mein ho jaayein gumshuda ,
fir saansein mehkaaye teri khushboo-e-hina ...

fir teri har ada par koi nazam padhi jaaye ,
har lamha ubharte jazbaton ki shakal gadhi jaaye ,
kuch tum kuch ham kahe fir koi daastaan ,
zindagi lage jaise naimatein ya kisi maasoom ki koi duaa...(naimatein : rahmat)

ek panna aisa de jiska har lafz muskuraye ,
ek barish aisi de ke har aansoo jhilmilaye ,
maathe ki peshaniyaan kismet ki silwatein ajmayein,
pighalte mausam mein kuch patthar pighlayein ,

har lamha jee lein har lamha hon fanaa ,
har pal lage jaise behta hua koi dariya ,
har din gujre har shab dhale kuch is tarah ,
barse sab par rab ki mehar manzoor ho sab ki duaa…


ke fir bhar de mere daaman mein aisi subah ,
tareekh mein wo reh jaaye aur waqt bane gawaah…

Thursday, March 12, 2009

मैं शर्मसार जहाँ की भीड़ में

main sharminda jahaan ki bheed mein khada ,katra katra kaatti teri ruswaaiyaan ...har lamha kheechta jaata mujhe tumse ,har safha likhta jaata meri tanhaaiyaan...
palkein meri jhulasne ka gumaan hota to hoga,jalte ansuon ka nishaan kahin hota to hoga...magar jahaan ke har karz se oopar hain ,bojhal teri palkon ki wo bezaariyaan ...
yun nahi ke main gumraah tere dard se kahin ,tere bina zindagi se koi shiqwa bhi nahi...(Sorry Gulzar sir ... but this line suited best here ...)kaash ke us lamhe ko main jala saktaa,mere daaman mein bhar gaya jo teri ruswaaiyaan...
uljhe khayaal tere suljhaane mein ek daur gujra hai,ek umar si kati hai teri sadaon mein bheegte hue ,tere saaye ki kashish mein kitne mausam gujre hain tere aane ke gumaan mein hum jaane kitna jee gayetera gumaan tere khayaal teri sadayein tere saaye , sochoon to bas yahi meri jaagir hain...iske siva faqat jahaan ke shor mein faili veeraniyaan...
ke kaash teri ankhon ka namak main pee sakta ,ke misri si ho jaati saari meri naakamiyaan...

आज मालूम हुआ

bebasi bekasi kya hoti hai ,subah aaina dekha to maloom hua...
mera wajood bhi zinda hai kahin ,saaye ko rote dekha to maloom hua...
the anjaan hum ghamon se sada,tumhe aaj jaate dekha to maloom hua...
yun hi tum door the kitne humse ,raasta jee bharkar dekha to maloom hua...
hum maan baithe the khuda tumko,aaj sajde mein jhuke to maloom hua...
aakhri ghazal likh chale tumhare liye ,lafz tere naam pe ruke to maloom hua...
naarazgi bhi kahin haseen hua karti hai,tumne nazrein churayi to maloom hua...
ke jise dillagi samjha dil ki lagi thi,aaj ankhein bhar aayi to maloom hua...
tum dhokha the ya ke waham mera ,haqeeqat se takraye to maloom hua...
sharmsaar khud se hi the hum kahin,zindagi ne aaine dikhaye to maloom hua...zindagi ne aaine dikhaye to maloom hua...zindagi ne aaine dikhaye to maloom hua...

tears

JALTI HUI PALKON SE CHHALKE
ANGAARE LAGTE HAIN TERE AANSOO...
MERE SIMTE HUE FALAK KE TOOTE ,
SITAARE LAGTE HAIN TERE AANSOO...

MAIN HAR SHAB YUN BHI TERE ,
KHWABON MEIN DOOBA JAATA HUN ...
ANDHE US SAMUNDAR KE KUCH,
KINAARE LAGTE HAIN TERE AANSOO...

WAISE BHI ANDHERO SE MERE ,
RISHTE SADIYON PURAANE HAIN ...
USMEIN MANZILON KI RAAH KHOJTE ,
SHARAARE LAGTE HAIN TERE AANSOO...


DARD MERA BAISAKHIYAAN LIYE ,
CHALTA HAI SOONI GALIYON MEIN ...
DHUNDHLE HOTE IS JAHAAN MEIN ,
SAHAARE LAGTE HAIN TERE AANSOO...


ZAMAANE KI DHOOP MEIN BHEEGA BADAN,
MAANGTA HAI BHEEKH PARCHHAIYON KI...
ZHULSEE HUI SADAK PAR SAAWAN KI ,
BAUCHHAREIN LAGTE HAIN TERE AANSOO...


KAASH KE IN GEHNO KI THODI ,
KADAR TUM SAMAJH PAATE KE ...
KHUDGARZ FARAMOSH IS KAAYNAAT MEIN ,
BECHARE LAGTE HAIN TERE AANSOO...


palkon ki kore se rooh talak ,
safar karte hain ye behisaab....
daaman mein aahein bhar udate firte ,
gubbare lagte hain tere aansoo...

Monday, February 23, 2009

आंसू

जलती हुई पलकों से छलके हुए ,
अंगारे लगते हैं तेरे आंसू...
मेरे सिमटे हुए फलक से टूटे ,
सितारे लगते हैं तेरे आंसू...

मैं हर शब् यूँ भी तेरे ,
ख्वाबों में डूबा जाता हूँ ...
अंधे उस समुन्दर के ,
किनारे लगते हैं तेरे आंसू ...

Tuesday, February 3, 2009

मितवा ... माय वेर्सिओं माय विज़न ...

Hi , dear ones play mitwa (KANK) n humm this lyrics
Aur mujhe gaaliyaan do
Javed akhtar ke milestone timeless lyrics hai …………. Hahahaha gustakhi maaf bench par hun na doston
********************************************************************************
********************************************************************************

Badi benoor thi zindagi ,
Aur gum thi kahin roshni ,
Har mausam tha behka hua ,
Har tasveer thi dhundhli ,

Jo tum mil gaye ,
Kuch gul khil gaye ,
Ab ujla lage ye jahaan …..
Jogiyaa…………
Tere sadke mera sajdaa,
Jogiyaa…………
Ye zinddi hai teri dua…..

è dil jal raha tha , kuch khal raha tha ,
Tum ban ke shabnam dardon pe barse…

Bujhte angaare , jalte sharare ,
Kitne hi mausam tanha yun tarse ……

Tanha the kabse …2)
Is shart par ke , ik din idhar se ,
Koi ghata , humko bhi , mehka ke jaaye …
Jo tum aa gaye , yun dhadka gaye ,
Khud apna na lage ye jiyaa….
Jogiyaa……………..
Kitni “komal” hai teri sadaa
Jogiyaa……………..
Hai haseen kitni tanhaiyaan….

è uljhe khayalon mein , chubhte sawalon mein ,
tum har safar saaath chalne lage ho ,
har mulakaton mein , baton hi baton mein ,
meri nigahon mein sanwarne lage ho ,

jaise saba ho , jaise dua ho ,
pal mein dhuan ho pal mein fanaa ho ……

subah ke aagosh mein taare kho jayein ,
jo tum ho yahaan , har dhundhla samaa ,
ab lagta hai mujhe aashnaa…………

jogiyaa………………..
tere dum se ye jism-o-jaan ,
jogiyaa………………..
jo tu na ho main hun kahaan…..

भौंक रही है दुनिया देखो ... (पॉलिटिकल न सोशल व्यंग्य )

Bhaunk rahi hai duniya dekho …

Bhaunk rahi hai duniya dekho ,
Kutte ghoomein berozgaar …
Kahin chillate hain ishtihaar ,
Kahin daily soap ke kirdaar …

kahin nuclear deal ki dhoom mach rahi ,
Kahin page 3 ki partyaan saj rahi ,

Kahi party fund mein karodon baant rahe ,
Koi veerappan ke naam chandan kaat rahe …

Polish se chamka rahe mulk ko dekho ,
Dab gayee baadh peediton ki cheekh pukaar ….

Kahin chillate ……………….


Sansani banti ja rahi katl ki khabar ,
News channel dehla rahe shaam – o – sehar …

Jyotishi shani ke saath mangal bhida rahe ,
Kuch aur nahi to channel TRP badha rahe …

Maut bekhauf ghoom rahi sadkon par ,
Zindagi kahin nashe mein giraftaar ………..


Muskurahat se management sabke guru hain yahaan ,
Jo imaan ko jagaa de unka nahin naam – o – nishaan …

Performance ki baatein joron se ho rahi ,
Reality shows se sachchai dhire dhire kho rahi …

Khabron ke kandhe par jaane kiski bandook rakhi ,
Jaane kaun boli vol rahe hain ye akhbaar ………….

Kahin chillate ………….


Maata ke naare ke saath rock jud gayaa ,
Jaane kis raah apna sangeet mud gayaa …

Ghazalon qawwaliyon ki shaamein kahaan dhal gayee ,
Sadiyon ki sanskriti kis jhonke mein fisal gayee…

DJ ki taal par duniya thirak rahi ,
Gum hui kahaan katthak ki raftaar …

Technology mein sabhyata samaa gayee ,
Khoya kahaan shastriya sangeet ka vistaar …

Khan sahab ki bebas hui shehnai ,
Soona pada panditji ka sitar ………

Wo besudh kari rafi ki sadayein ,
Salil da ki bansuri , pancham da ki pukar ….

….. Ke bhaunk rahi hai duniya saari ,
Kutte ab tak berozgaar ……….
Dhritrashtra ki aankhein roshni ko talashti ,
Gandhari apni kasam par ab bhi lachaar ………….

मैं तस्वीर ऐ हिंदुस्तान हूँ

हिंदुस्तान की एक तस्वीर पेश ऐ खिदमत है ... जिसे " आम जुबां " में आम आदमी कहा जाता है ...

Main tasveer – e – Hindustan hun …


Meri surkhiyaan akhbaron mein nahi aati ,
Naa hi mera ghar breaking news ka zariya hai…

Mere kisse magzines ki sale nahi badhate ,
Na mere dard ko kahin char lines naseeb hoti hain …

Mere bujurgon ne koi medal nahi jeeta ,
Na hamare darwaze par koi laal batti ki gaadi hai…

Sansad ko sirf shaam ki news mein dekha hai ,
Yun bhi gali se kabhi koi gandhi topi ya nehru jacket nahi gujra …

Shuru se pitaji ko 9 to 6 duty karte dekha hai ,
Kuch usi nakshe kadam par mein aaj chal raha hun…

Is shehar ka naam kisi reality show mein nahi aaya ,
Naa hi apna koi banda filmi posters mein dikhta hai…

Mashhoor gali mein sirf wo hafta wasooli gunda hai ,
Tanha sharaab peeta hai shayad bahut sharminda hai…

Chaurahon par yun kuch khaas hulchul nahi hoti ,
Ye raaste yun hi gaddhon ko paalte aa rahe hain …

Shehar ko choomti hui nadi barsaat mein naraaz hoti hai ,
Log tayyari mein hain ke ab monsoon chaukhat par hai …

Paas ke gaon mein chaar kisaanon ne khudkhushi kar li ,
Shaam tak unke khandanon ki bhi kahbar aati hogi …

Subah gali ke nukkad par paani ko jhagde hote hain ,
Log chalke hue paseene ki chaadar odh kar sote hain …

Aap bhi sochte honge ki mei bisaat kya hain ,
Cyber age mein itna low profile meri aukaat kya hai…

Sach kahoon to hum aukaat ke bare mein sochte hi nahi ,
Tootti deewar se lekar bijli ka bil fursat nahi deta …

Maa ki beemari babuji ki dawa dum kheeche jaate hain ,
Petrol ke bhaav bujhta allav nasein bheeche jaate hain … (Note : Alaav : angeethi , chulha)

Nazdeek aata budget dhadkan badhaaye jaata hai ,
Yun bhi sarkar badalne se kisko farq padta hai …

Maathe se girta paseena hi shayad wafadar hota hai ,
Ke kitni hi peshaniyaan hon yahi mere saath hota hai …

Mujhe shiqayat ka waqt nahi hota zamaane se ,
Ke dafn ki zameen bhi nahi milti apne khazane se …

Shayad aur meri tareef ki zaroorat hi na hogi ,
Ya yun kahein ab bayaan ki himmat hi na hogi …

Aap ab tak Samajh gaye hoge ke main kaun hun ,
Sadiyon se chillaya magar aajkal maun hun …

Ek maa ki duniya budhe baap ka armaan hun ,
Rozana kai jung ladta nateeze se anzaan hun …

Naarazgi ka samundar shiqayaton ka farmaan hun ,
Birth certificate fir bhi kehta main insaan hun …

Khud ki taqdeer nahi badal sakaa aaj tak ,
Apni shakal sanwaar nahi sakaa aaj tak…
Magar log kehte hain main tasveer – e – hindustaan hun ………….

उम्मीद...

"ये कविता मेरे पोएट्री एल्बम : वर्चुअल इमोशंस के एक पहलु होप पर आधारित है ...

Hope

Fir sooraj ka rang nikhar raha hai ,
Fir badli se chaand nikal raha hai…

Fir saawan ke jhoole pade hain,
Fir aaj kadam thirakne lage hain …

Main dekhta hun un raahon ko ,
Jinke kadam behak se gaye the..
Aaj fir unme ek nayi rawaani hai …

Main dekhta hun un aankhon ko ,
Jo dariya ka sookh se gaye the …
Fir aaj unke daaman mein paani hai….


è honthon ka tirchapan jo bujhne lagaa tha ,
wo aaj fir se jhilmilane lagaa hai …
galiyon mein chehakta bachpan jo gum ho gayaa tha,
nayi subah ke saath fir khilkhilane lagaa hai …

main dekhta hun un hathon ko ,
badalte daur mein jo kaanpne lage the ,
fir aaj unme ek nayi jawaani hai…

fir aaj nazar aate hain wo naaz ,
jinpar guroor the humko kabhi ,
ke har baalak mohan har meera sayaani hai….


è Main sarhad paar se aati khushbu dekhta hun ,
Yahaan ki fizaon mein yun ghuli jaati hain …
Jaise inse w kabhi juda hi na thi ……

Pairon ko mere choomta hai nadiyon ka paani ,
Yun belagaam hokar aaj rahon se nikla hai ,
Jaise kabhi kaali iski koi daastaan hi na thi …

Meri nazar mein ghule jaate hain wo bejaan iraade ,
Jinme jng lag gayee thi waqt ki seelan se ,
Aaj fir un fauladon mein pyaas anjaani hai….

Fir dekh un jawanon ko ek aas bandh jaati hai,
Jinki jawaniyon ko bazaron ne khokhla kar diyaa tha,
Fir aaj unki zindagi shahadat ki deewani hain …

Main dekh sakta hun fir bujurgon ki aankhon mein ,
Jo bun rahi apne bachchon ke liye ek nayi kahani hain …

Unke chehre ki jhurriyaan fir muskurati hain ,
Unke palkon ki kor fir se pukaarti hain ,
Fir se unki daastaan mein ek raja hai …
Fir us raja ke liye kahin ek raani hai…………………

Tuesday, January 27, 2009

वक़्त

kuch na rahega ek roz-e-shab , har shai ho jayegi fanaa ,
bas saahil se laharein takrayengi , aur goonjegi apni sadaa...

mahal atari choubare gulshan , kal ko berang ho jayenge ,
kile makbare mandir masjid , shayad badrang ho jayenge ,
is safar ke us mod par , reh jaayega bas yaadon ka dhuaan ,
bas raeth ke sehra udte firenge , aur goonjegi apni sadaa....

gardishon mein waqt ki hongi , kitni lakh kahaaniyaan ,
thokaron mein waqt ke honge , kirdaar kitne bepanaah ,
panno se waqt ke mit jayegi , aaj likhi har daastaan ......
chand chandni tanha honge , aur faqat sunenge apni sadaa......