Tuesday, September 8, 2009

dafn hua jaata hun main ...

ankhon ke aalon mein chhale pade jaate hain magar
phir bhi tere khwabon ko snajota jaata hun main

dil ki deewaron ke jakham naasoor ho rahe hain magar
khud se jaane kaisi ye jung ladtaa jaata hun main

tu wo safar hai mera jiski koi manzil bhi nahi
har raah lekin gir gir kar sambhalta jaata hun main

tu wo junoon hai mera jo mujhmein gaafil bhi nahi
laakh samhaloon har kadam behaktaa jaata hun main

hazaar koshishein ki ke afsaana dobaara likh sakoon
jo gujar rahi hai wo nazm bhi uljhaata jaata hun main

teri sadaon ki baarishon mein jiye jaane ki khatir
jehan ki khaamoshiyon mein hi dafn hua jaata hun main ...
dafn huaa ...
dafn...

No comments: