Tuesday, September 8, 2009

jaane kyun naaraaz hai tu ...

jaane kyun naaraaz hai tu ...

meri aati jaati saanson ne ,
labon se uthati baaton ne ,
har jalte bujhte lamhon ne ,
zindagi ke har safhon ne ,
tumhari hi aarzoo ki hai ,
tumhari hi justazoo ki hai ,
fir bhi aaj na roz ki tarah ,
surmayee maddham aawaaz hai tu ...
jaane kyun ...............

kuch to baat khali hai tumko kahin ,
yun to nahi dhali hain ye aankhen teri ,
kaho na kaho tum shiqwe tumhare ,
kehti hain magar jhukti nigahein teri ,
mere sajdon mein azaanon mein ,
meri duaon mein meri kuraanon mein ,
har roz aabaad rahi hai tu ,
lekin kyun na har shab ki tarah ,
goonjta behka hua saaz hai tu ...
jaane kyun naaraaz hai tu ...

pareshaan karti hain ye khamoshiyaan teri ,
nabz thaame jaati hain ye ruswaaiyaan teri ,
main dard se bharne ki koshishein karta hun ,
aur sooni ho jaati hain tanhaaiyaan meri ,
hazaron sawaal khadi karti hain teri udaasi ,
har pal gehraata jaata koi raaz hai tu ,
badan ke gubbare mein jaise sannata hai bhara hua ,
jo gumshuda hui mujhse meri wo awaaz hai tu ,
kaaynaat muskurati thi saath tere kabhi ,
bina un raunakon ke kaise yun naasaaz hai tu ,
meri daastaan ka har lafz tujhse hi mukammal hai ,
meri kahaani ka anjaam tu aaghaaz hai tu ,
fir bhi jaane mujhse kyun naaraaz hai tu ...
fir bhi jaane mujhse kyun naaraaz hai tu ...
fir bhi jaane mujhse kyun naaraaz hai tu ...

No comments: