yun bhi dimaag ko kaise kaise fitoor hote hain ...
main canvas par zindagi ki ek tasveer banata hun ,
anginat ehsaason ke rang hain jisme ,
kuch pighalte lamhon ki parchaiyaan bhi hain ...
dhoop mein jhulse hue jazbaat hain jisme ,
kahin shor se ladti tanhaaiyaan bhi hain ...
toofano se ladta hua maaji hai mera ,
kahin dhalti shaamon ki thakaan bhi hai ,
jhoomti hui baharein bhi hain kahin ,
kahin dum ghutaane waali tahaan bhi hai ...
makhmali muhabbat ke dhaage hain yahaan ,
lahoo jalaata nafraton ka rang bhi hai ...
ye sab rang mere apne hain ,
haqiqat hain ye na koi sapne hain ...
ye tasveer ab mukammal hone ko hai ,
iske aks mujhme hi chipe hue hain kahin ...
ab tak main sochta tha
is painting ko main taaseer de raha hun ,
magar ye zindagi khud hai jo mere haathon
khud ko takhleeq diye jaati hai ...
yun bhi dimaag ko kaise kaise fitoor aur mugaalte hote hain ..
hain na ...
Tuesday, September 8, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment