Tuesday, September 8, 2009

kaun raah tu chala musafir ...

har mod par har safar mein tujhe do rahein milengi ,
kuch behkati kuch samjhati do nigahein milengi ...
tu soch samajh kar manzil chunna ,
jo tujhme ho wo raah-e-dil chunna ,
thehar ke soch ek baar zara fir ,
ke kaun raah tu chala musafir ...

1) ek raah mein honge kaante ek mein honge phool bhi ,
khushboo hogi kahin kahin nazarein dhundhalati dhool bhi ,
kaanton dhoolon se gujar kar bahaaron ko paayega tu ,
toofanon se ladkar dekh kinaaron tak jaayega tu ...
tu soch samajh kar saahil chunna ,
khud tak pahunche wo manzil chunna ,
thehar ke soch ek baar zara fir ,
ke kaunsi raah tu chala musafir ...

2) zamana kheechega kadam kabhi , fislega tera dil bhi kabhi ,
hosh kabhi ladkhadayenge tere , door lagegi manzil bhi kabhi ......
hosh sambhal rahein nikaal , manzilon ko paa jayega tu ,
chaand sooraj feeke lagenge , sitaron tak bhi jaayega tu ,
tu soch samajh kar raaste chunna ,
auron nahi khud ke waaste chunna ,
ruk kar soch ek baar zara fir ,
kaun raah tu chala musafir ...
raah banegi manzil aakhir ,
aaine se nazar ek bar mila fir ...
jis safar par badhkar , jis raah chalkar ,
tu hoga ek din khud se mutassir ...
ruk kar soch ek baar zara fir ….
ke kaun raah tu chala musafir ......

No comments: