Monday, December 1, 2008

आहिस्ता आहिस्ता

Kuch parde khulte ja rahe hain aahista aahista,
Kuch taare dhalte jaa rahe hain aahista aahista,

Har lamha zindagi bhes badal rahi hai aajkal,
kuch raaz samajhte jaa rahe hain aahista aahista…………


è Jin maayno ki talash mein kab se pareshan the ,
Wo raaz ab bhi raazdaar bane hue hain ,

Jin paheliyon mein uljhe hue the kab se hum,
Wo aaj bhi pardakhwaar bane hue hain …………..

Hum koshish karte hain in jaalon ko hatane ki,
naye jaalon mein fanste jaa rahe hain aahista aahista…………….


è Is dhundh se ladne ki himmat nahi hai magar
Roshni haasil karne khud hi raah dhoondhni hogi
……….

Ghataon se Kiranein chan kar aayengi sahi magar,
Aankhon par padi har deewaar todni hogi………….

Main dil jala kar raton mein ujala kar raha hun ,
Saath mere karvaan bante aa rahe hain aahista aahista………

Aasmaan angaar barsa le ya kitne sholay dehka le,
Kitne hi haath thamne mujhe aa rahe hain aahista aahista…………

No comments: