Sunday, August 31, 2008

umar gujri kuch yun basar tanha.......

“ umra kar di kuch yun basar tanha,
Raah thi kathin aur safar tanha…….

Nigahein dhoondhti rahi hardam tumhein,
The nazare magar nazar tanha…….

Dono ki raahein thi juda juda ,
Main kahin kahin hamsafar tanha…….

Lakhon jimson ki bheed mein dekho,
Wo khada hai mera shehar tanha……(This is for BOMBAY )

Hum badh gaye kaafilon ke saath,
Reh gayee peeche rehgujar tanha………”

No comments: