Wednesday, October 1, 2008

सुबह वो नही

Subah wo nahi jab sooraj jagmagaye ,
Na hi wo jab panchi chehchahayein ,

Subah ka waasta nahi jab andhere kho jayein ,
Na hi wo jab taare chat jaayein …….

Meri subah wo jab tu muskuraye ,
Apni baahein faila mujhko gale lagaye …..

Teri muskurahaton ki roshni se ,
Mere andhere kahin kho jaayein …..

Teri ankhon ki shabnami chandni mein ,
Apne sitare kahin jhilmilayein ………

Aa mil kar fir ek subah ugaayein ,
Thoda main muskuraoon thoda tu gudgudaye….

No comments: