Wednesday, March 25, 2009

दुआ ...

bhar de mere daaman mein ek aisi subah ,
ghamon ki ho fikr na khushiyon ki parwaah...
ae mere khuda ..ae mere khuda

jeene ki ho arzoo naa marne ki guzarish koi ,
dil bas dhadke jaaye naa kare farmaish koi
din yun dhale ke gulshan se gujre jaise sabaah,
shab yun muskuraye jaise kabool ho koi dua...

fir falak se ufak tak sooraj ka dekha karein ,
door wadiyon mein tumhara naam pukara karein ,
teri awaaz ke dariyaa mein ho jaayein gumshuda ,
fir saansein mehkaaye teri khushboo-e-hina ...

fir teri har ada par koi nazam padhi jaaye ,
har lamha ubharte jazbaton ki shakal gadhi jaaye ,
kuch tum kuch ham kahe fir koi daastaan ,
zindagi lage jaise naimatein ya kisi maasoom ki koi duaa...(naimatein : rahmat)

ek panna aisa de jiska har lafz muskuraye ,
ek barish aisi de ke har aansoo jhilmilaye ,
maathe ki peshaniyaan kismet ki silwatein ajmayein,
pighalte mausam mein kuch patthar pighlayein ,

har lamha jee lein har lamha hon fanaa ,
har pal lage jaise behta hua koi dariya ,
har din gujre har shab dhale kuch is tarah ,
barse sab par rab ki mehar manzoor ho sab ki duaa…


ke fir bhar de mere daaman mein aisi subah ,
tareekh mein wo reh jaaye aur waqt bane gawaah…

1 comment:

Bhuvan Gupta said...

This was a nice one... aur meri dua hai ki aap bhi ek din gulzar kya unse aage badhe...